歌词
Aao hum chalein wahan jahan na koi asmaan
Pairon mein zameen na ho na khushiyan na ho ghum jahan
Aao hum chalein waha jahan na koi asmaan
Chehron pe hansi rahe sada chal aa chal wahan
Haaann
Kiya teri khamoshi ko haan smjhun ya haan nhi me
Tu meri unkahi se jaan le
Main apni qismaton ko khud hi likhta aarha hoon
Tu mera hai ab tu ye maan le
Tere bina jana wahan
Maine kabhi socha nahi
Hai mushkilein in raahoon mein
Or tu ne bhi aana nahi
Mein bhatka phirun mera ghar hi nhi
Safar aisha hai humsafar hi nhi
Wo duniya hai bass ek sheher hi nahi
Sab kehte phire ki le chal wahin
Jahan jaan jaane ka dar hi nhi
Sukoon hi sukoon hai fikar hi nhi
Sab hi rakh ke chalte hain khushiyan dilon mein
Wahan to ghamon ka zikar hi nhi
Murti hain raahein jahan mann chale
Tu saath ho to hi dhadkan chale
Shayd phir hum kal rahein na rahein
To thaamon ye haath chalo chal chalein
Aao hum chalein waha jahan na koi asmaan
Pairon mein zameen na ho na khushiyan na ho ghum jahan
Aao hum chalein wahan jahan na koi asmaan
Chehron pe hansi rahe sadan chal aa chal wahan